Your TUS Safar Mubarak – Today & Always

Ae Moula jab teri aawri ka paigam aaya,
Ye dil me ek ajeeb sa josh aaya,
Karenge teri khidmat iss soch ka gurur bhi aaya
Dete rahe tawaaf hum woh masjid ke,
Aur dete rahe tawaaf hum woh Devri Mubarak ke,
Aur dete rahe hum apni gunehgaar zaat teri tashrif aawri me
Kaam hoye saare, bohot kusur ke saath,
Milta raha humko apne bhaiyo ka saath,
Dua hai, karte rahe har khidmat teri mubarak Dua ke saath
Na aayi hume neend na aaya chain,
Na mila didaar tera jab tak hamare nain,
Teri mohabbat me teri doorie me, tu hi ab bata kaise hum saase le
Khush ho gaya mera dil, meri qayamat,
Jab suna tera awaaz aur dekhi teri jalalat,
Sairaab kar diya hamara har pal, har harakat
Ban gaya ye din Mohanna Mubarak,
Bahaye humne jo aasu sunkar Imam Hussain,
Ho gayi ibadat hamari puri sunkar Imam Hussain
Dua se teri talti hai balaye aur phirti hai qaza tak,
Dua se teri milta hai sukoon, rizq aur dana tak,
Dua se teri hi hum pohche ge khana e kaaba, Imam Hussain tak
Fir najane qismat me aisa kyu likha tha,
Dekhte hi hum reh gaye kya ye salaam e vada tha,
Tharrane lage aaza, kya ye vada e Panjatan Paak tha
Ab kya woh josh, kya woh sukoon aur khushi,
Ek pal me laga me loot hi gaya kahi,
Bhaiyo ka saath bhi ab tanhai me badal gayi
Jo agar na karu ye mere dil ki baat abhi,
Raha hai na koi baaki aur na rahega kabhi,
Ye kalam ka rang is duniya me dhul jayega jald hi
Tu hi meri duniya, tu hi mera deen,
Tu hi mera awwal, tu hi hai aakhir,
Tu hi mera Dai, aur tu hi hai wali
Kaise bardasht karu me ye Mohabbat, ye doorie,
Khauf rehta hai na badal jaye ye gunaah me kahi,
Ki hum pohoch jaye tere kanak, teri raza ke bina kahi
Me gaya us jagah, jaha se kiya tha tera deed,
Aankhe num hui aur hui yaadon ki eid,
Aur teri ye safar aanewali safar ki mohtaj ban gayi
Abdesyedna Moez
Dubai
16th May 2017 ~ 20th Shabaan ul Karim, 1438